1.
...kaha se shuru karu Kahaani apni ye sochte kafi samay beet gaya, batana to bahut kuchh hai magar dil sath nahi de raha..
Kalam bhi jawab de rahhe hai shayad mere diary ke panne gile ho rahe hai....
Aakhir kyu na ho, mehfil-e-mazak jo bana kar gayi hai...
Jis mohabbat par fakr tha aaj sath chhod gayi hai....
Fir bhi koshish karta hu.....
Kalam se kaise utaru uski galtiyon ko jo dil ke deewaron par dastak diye baithe tha
Kaise keh du ki wo galat h jise kabhi khuda banaye baitha tha..
Kisi ko palko par baithana kitna mushkil hai... Shayad ye tu na jaan payegi..
Fir se jhuthi mohaabat ki aad me tu is tarah sharminda kar jayegi..
Maine bhi badi shiddat se pyar kiya tha , mujhe bhi apne pyar par Naaz hua karta tha...
Khud ko jhuthla kar teri har galti ko maf kiya karta tha...
Tu chhod gayi ...chhod gayi mujhe,kisi aur ke liye ... Shayad Dilo ki amiri raas na aayi...
Nahi pata tha log bas jhuthi dilashein diya karte hai... Jhuthi mohabbat bhi mukhauta pahan kar kiya karte hai....
Nahi pata tha log bas jhuthi dilashein diya karte hai... Jhuthi mohabbat bhi mukhauta pahan kar kiya karte hai....
Tu chali jayegi is baat ka darr to tha, par usse kahi jyada umeed bhi thi ki tu sath degi har pal mera ,magar is bar to darr kismat ka tha, tu is kadar badal jayegi ye umeed to na tha....
Contd...
Contd...
Amazing line...
ReplyDeleteMeans a lot ,❤️❤️
ReplyDeletebeautiful lines❤❤
ReplyDeleteShukriya ji...
DeleteLines to beautiful hain par experiences maut ke barabar...
Khuda kare aapko aise experience se gujarna na pade..
Are bro kya baat hai.....
ReplyDelete